rifaqaton ka talabgar bhi na hota tha magar kisi se wo be-zar bhi na hota tha kal us ke khwab the jo aaj apni duniya hai fasana-saz fusun-kar bhi na hota tha subuk-rawi ki wahin shart bhi thaharti thi jahan se rasta hamwar bhi na hota tha mere sirhane uthati thin hashr tabiren abhi main khwab se bedar bhi na hota tha hawaon se tha gurezan wo khud-girafta parind kisi ke hathon giraftar bhi na hota tha nihan hon aankh se barish mein daudte shole saman kuchh itna dhuan-dhaar bhi na hota tha guzar dilon se ho sab is hawa mein the lekin koi kisi ka taraf-dar bhi na hota tha mera sukut na ho qufl-e-bab-e-mani 'yas' bayan huruf ki diwar bhi na hota tha