rasan-o-dar se ya ku-e-butan se utthe fitna har haal mein fitna hai jahan se utthe kitne jaan-soz o dil-awez hain wo naghme bhi shoala ban kar jo mere husn-e-bayan se utthe donon aalam mein kahin un ko thikana na mila jo teri bazm se utthe wo jahan se utthe hae wo nale ki jo arsh-e-barin tak pahunche uf wo tufan jo mere ashk-e-rawan se utthe kashish-e-husn ne ek gam bhi chalne na diya phir wahin baith gae log jahan se utthe kaam kuchh kar na saka waiz-e-nadan ka tilism kitne tufan meri khamosh fughan se utthe in hijabaat ki azmat ko kahun kya 'jauhar' jo yaqin ban ke mere wahm-o-guman se utthe