main to aa gaya hun saqi tujhe milne ke bahane

main to aa gaya hun saqi tujhe milne ke bahane
mujhe mai hi gar thi pini to the sau sharab-khane

tujhe kaun ai sitamgar hai jafa se rok sakta
kahe kaun bijliyon se na jalao aashiyane

teri aankh mein nasha hai kahin badh ke mai se saqi
tu bikher de nigahen to hon band baada-khane

nahin qaid ab jagah ki diya jab se tu ne thukra
tere dar ki tha jo thokar hain ab us ke sau thikane

mere dost the ki dushman thi 'sada' sabhi ko jaldi
main abhi mara nahin tha ki sab aa gae uthane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close