masruf har ghaDi hai jo apni ana ke sath

masruf har ghadi hai jo apni ana ke sath
kaise mile wo aatma parmatma ke sath

har bar kuchh talab bhi hai hamd-o-sana ke sath
ye bandagi hai ya ki tijarat khuda ke sath

achchhe-bure ka ilm hi tujh ko nahin hai jab
mat chhed-chhad kar tu khuda ki raza ke sath

mana tu ai tabib hai apne hunar mein taq
lab pe dua bhi chahiye dast-e-shifa ke sath

suraj nahin ki dar ke main baadal mein ja chhupun
dipak hun lad marunga mukhalif hawa ke sath

tan to qaba hai tan se hai hasti teri juda
itna hai kyon lagaw purani qaba ke sath

dair-o-haram ke shor mein mumkin nahin 'sada'
khalwat mein chal ke milte hain aao khuda ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close