mauqa-e-yas kabhi teri nazar ne na diya shart jine ki laga di mujhe marne na diya kam se kam main gham-e-duniya ko bhula sakta tha par teri yaad ne ye kaam bhi karne na diya teri gham-khwar nigahon ke tasadduq ki mujhe gham-e-hasti ki bulandi se utarne na diya wo teri surkhi-e-ariz ki qarib aa na saki rang jis fikr ko bhi khun-e-jigar ne na diya husn-e-ham-dard tera ham-safar-e-shauq raha mujh ko tanha kisi manzil se guzarne na diya kitni khush-zauq hai teri nigah-e-baada-farosh khali rahne na diya jam ko bharne na diya