rabt ho ghair se agar kuchh hai is taraf bhi magar nazar kuchh hai be-khabar hai wo har do aalam se jis ko us shokh ko khabar kuchh hai yan koi majra-sharik nahin hai agar kuchh to chashm-e-tar kuchh hai mit gaya qissa mar gaya aashiq ho mubarak tumhein khabar kuchh hai justuju hai wahin wahin hai nazar jalwa-rezi jidhar jidhar kuchh hai hai tamasha ba-qadr-e-zauq-e-nigah dekhta hun jidhar udhar kuchh hai bad bala hai kisi kisi ki nazar tum na jaana ki baam par kuchh hai azm su-e-adam to hai 'raunaq' tosha-e-rah bhi magar kuchh hai