main umar ke raste mein chup-chap bikhar jata ek din bhi agar apni tanhai se dar jata main tark-e-talluq par zinda hun so mujrim hun kash us ke liye jita apne liye mar jata us raat koi khushbu qurbat mein nahin jagi main warna sanwar jata aur wo bhi nikhar jata us jaan-e-takallum ko tum mujh se to milwate taskhir na kar pata hairan to kar jata kal samne manzil thi pichhe meri aawazen chalta to bichhad jata rukta to safar jata main shahr ki raunaq mein gum ho ke bahut khush tha ek sham bacha leta ek roz to ghar jata mahrum fazaon mein mayus nazaron mein tum 'azm' nahin thahre main kaise thahar jata