wo zarra jis mein ek aalam nihan tha adab ka ek bahr-e-be-karan tha wo nabz-e-waqt ko pahchanta tha wo rahbar tha wo mir-e-karwan tha use aata tha lafzon ka baratna zaban rakhta tha wo ahl-e-zaban tha ukhuwwat ka tha wo parcham uthae na apni fikr na khauf-e-jahan tha chatan ka azm dhaare ki rawani jhuka qadmon pe us ke aasman tha jo sab chup-chap sah lete hain sadme wo in sab be-zabanon ki zaban tha watan us ki rag-o-jaan mein basa tha wo dil-dilli ka khud hindostan tha use dhundega ab 'raghib' zamana ki us jaisa zamane mein kahan tha