main us but ka wasl ai khuda chahta hun maraz ishq ka hai dawa chahta hun bayan-e-malahat kiya chahta hun sukhan mein namak ka maza chahta hun na dekhun main us gul ke pahlu mein kanta ude ghair aisi hua chahta hun mujhe tasma-bandi ho ai zulf-e-pechan faqir aaj-kal main hua chahta hun lagi be-tarah hai khuda hi bachae sulagta hai dil mein jala chahta hun bahut karwaten lin nahin nind aati baghal mein koi dilruba chahta hun mohabbat mein ye aql zail hui hai ki ahl-e-dagha se wafa chahta hun khule haal-e-bimar chashm-e-sukhan-go ishaaron mein baaten kiya chahta hun bura man jaoge munh pher loge na puchho qasam de ke kya chahta hun nigahen ulajhti hain zulfon mein be-dhab un aankhon ke hathon phansa chahta hun mah-e-nau ke misre mein misre lagaun main itni tabiat-rasa chahta hun hue chaara-ju kab mariz-e-mohabbat khuda maut de jo shifa chahta hun wahi dushman-e-jaan hai ai 'bahr' mera jise jaan se main siwa chahta hun