zakhm-e-dil ho gae nasur tumhein kya malum tum to ho mujh se bahut dur tumhein kya malum mere honton ke tabassum pe na jaana hargiz haal-e-barbaadi-e-majbur tumhein kya malum kab sitaron ka jahan ho gaya tarik nazar chandni kab hui be-nur tumhein kya malum roz-o-shab kis pe baraste hain sitam ke patthar dard se kaun hua chor tumhein kya malum kitne aalam-o-masaib se guzarta hun main ishq ke kya kya hain dastur tumhein kya malum kya bataoge 'asad' tut ke kya bikhra hai tum to ho aaj bhi makhmur tumhein kya malum