na fasle rahe qaem na qurbaten ab ke

na fasle rahe qaem na qurbaten ab ke
ajib haal se guzri hain ulfaten ab ke

hamare sath jo chalta tha wo nahin aaya
guzar chali hain bahaaron ki muddaten ab ke

har ek qadam pe sarab-e-wafa mein dube the
har ek qadam pe mili hain haqiqaten ab ke

wo yak-ba-yak jo milega to kaise dekhenge
hui hain jis se mile hum ko muddaten ab ke

bajae naqd-e-wafa ke kuchh aur baat karo
badal gai hain jahan ki zaruraten ab ke

nahin hai sirf wo tanha main jaisa samjha tha
har ek shahr mein dekhin shabahaten ab ke

main us se dur gaya tha to aa gaya 'adil'
khud apne-ap ye hain mujh ko hairaten ab ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close