tumhaare pas ek wahshi ne ye paigham bheja hai ki ab hijran-nashibon ko bhula dena hi achchha hai junun mein yun to kuchh apni khabar milti nahin hum ko ki aisa nam hai jis par abhi tak dil dhadakta hai ye mana sakht hai ye wadi-e-ghurbat ki tanhai mujhe rahne de ai hamdam yahin ab ji bahalta hai dil-e-nadan ko ras aai tumhaari kaj-adai bhi tumhaari bewafai mein bhi ek aalam nikalta hai yaqin aa kar dilate hain mujhe ye qafile wale zara kuchh aur aage kucha-e-jaanan ka rasta hai