raston mein ek nagar aabaad hai

raston mein ek nagar aabaad hai
is tasawwur hi se ghar aabaad hai

kaisi kaisi suraten gum ho gain
dil kisi surat magar aabaad hai

kaisi kaisi mahfilen suni huin
phir bhi duniya kis qadar aabaad hai

zindagi pagal hawa ke sath sath
misl-e-khak-e-rahguzar aabaad hai

dasht-o-sahra ho chuke qadmon ki gard
shahr ab tak dosh par aabaad hai

be-khudi ruswa to kya karti mujhe
mujh mein koi be-khabar aabaad hai

dhup bhi sanwla gai hai jis jagah
us kharabe mein sahar aabaad hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close