main wo hun jis ka zamane ne sabaq yaad kiya gham ne shagird kiya phir mujhe ustad kiya husn-e-jaan-soz ne wahdat mein mujhe yaad kiya main ye samjha ki mujhe ishq ne barbaad kiya nahin malum wo main hun ki koi aur asir sun raha hun ki giraftar ko aazad kiya jis jagah khai thi thokar wahin turbat thi meri bhulne wale ne mushkil se mujhe yaad kiya meri aahon ki hawaon mein na aa jaana tum ye wahi hain ki jinhon ne mujhe barbaad kiya khana-e-qabr ajab chiz hai lekin main ne itne tukde ko bhi ek umr mein aabaad kiya yas-o-ummid ke mabain hui khatm hayat ek ne shad kiya ek ne nashad kiya tujh ko sab dete hain aawaz wo apne hon ki ghair is taraf main ne moazzin ne udhar yaad kiya main tha ek khak ki chutki to uda jata hun khak ka wo bhi hai zarra jise sayyaad kiya kis se lun dad-e-wafa kis ko dikhaun ye jafa wo to parde mein hai jis ne mujhe ijad kiya ishq mein apne hi hathon se hua do tukde dil-e-nakaam ne kar-e-sar-e-farhad kiya na-tawani mein gire the jo lahu ke qatre main to bhula hua tha dil ne bahut yaad kiya ashk aankhon se gire khun ragon mein jo na tha main ne aakhir adab-e-nashtar-e-fassad kiya zarre zarre se meri khak ye deti hai sada rahe aabaad wo jis ne mujhe barbaad kiya ek sannata sa aalam mein tha lekin main ne fath bab-e-asar-e-nala-o-faryaad kiya jitne shikwe hain tujhi se hain ki is aalam mein mujh ko bulbul kiya sayyaad ko sayyaad kiya rasta chalne ke qabil na raha ai hamdam main ne manzil pe naya marhala ijad kiya main to chyunti ke kuchalne se hazar rakhta tha phir mujhe kis ne tah-e-zanu-e-jallad kiya itna zinda rahe hum jis se khulin mani-e-maut subh-e-ijad mein qasd-e-adam aabaad kiya bu nikalne lagi ghunchon se to phir dar kis ka ye khabar sach hai to sayyaad ne aazad kiya qabl-az-waqt phansa dam mein aur phanste hi jo tamanna yahan lai thi use yaad kiya aalam-e-husn hai wo naqsh-e-maani 'saqib' jo meri tab-e-khuda-dad ne ijad kiya