sar-e-arsh-e-barin hai zer-e-pa-e-pir-e-mai-khana kamal-e-auj par hai husn-e-alamgir-e-mai-khana farogh-e-baada se raushan hui taqdir-e-mai-khana ki hai har baada-kash raushan charagh-e-pir-e-mai-khana main diwana hun aur dair-o-haram se mujh ko wahshat hai padi rahne do mere panw mein zanjir-e-mai-khana tasawwur dil mein rahta hai kisi ki chashm-e-mai-gun ka khinchi rahti hai aankhon mein mere taswir-e-mai-khana ziyarat ko chale hain shaikh-o-zahid fi-amanillah khuda ki shan hai kuchh phir gai taqdir-e-mai-khana pari shishe mein aur saghar mein hai khurshid-e-nurngin wo hai taskhir-e-mai-khana ye hai tanwir-e-mai-khana jo pahuncha mai-kade mein chhod kar dair-o-haram 'sahir' jhuka sar zauq-e-masti mein zahe tasir-e-mai-khana