tang hui jati hai zamin insanon par kash koi hal pher de qabristanon par ab kheton mein kuchh bhi nahin pani ke siwa ye kaisi rahmat barsi dahqanon par kabhi kabhi tanhai mein yun lagta hai jaise kisi ka hath hai mere shanon par main wo pichhle pahar ki hawa ka jhonka hun dastak deta phire jo band makanon par kabhi to chah milegi aati sadiyon ki kan dhare baitha hun gae zamanon par