mere ba'd sansen bhi khoya karega tu bar-e-gham-e-ishq dhoya karega mayassar tujhe har khushi hogi lekin mujhe yaad kar ke tu roya karega main sehn-e-gulistan mein jab na milungi tu phulon ke daman bhigoya karega koi chand ki palki se utar ke tere shab-kade mein hi soya karega kisi ne kaha tha ki dhalta hua din udasi tere dil mein boya karega ba-zahir tere sath koi na hoga koi to magar sath hoya karega har ek chiz par dastaras hogi teri magar chain se tu na soya karega kabhi chand utrega jab paniyon mein badan ke sabhi dagh dhoya karega mere hath par hath rakkha hai us ne bichhadne ki baaten bhi goya karega samundar ki tujh ko dua hai ki ab tu kinare pe kashti duboya karega na dushwar ho us ka 'jina' khudaya wagarna ye dil mera roya karega