tukde tukde mera daman-e-shakebai hai kis qadar sabr-shikan aap ki angdai hai dil ne jazbaat-e-mohabbat se ziya pai hai meri tanhai bhi ek anjuman-arai hai ab jafa se bhi gurezan hain wo allah allah dekhiye kya mera anjam-e-shakebai hai bijliyan mere qafas par na kahin tut paden kyun saba khak nasheman ki yahan lai hai bas wahi bahr-e-mohabbat ka shanawar nikla jis ne tufan se ulajhne ki qasam khai hai shauq se aap zamane ko nawazen lekin kya koi meri tarah aap ka shaidai hai kaun hamdard zamane mein hai 'iqbaal' magar un ki ek yaad faqat monis-e-tanhai hai