raat bhar koi na darwaza khula dastaken deti rahi pagal hawa waqt bhi pahchan se munkir raha dhund mein lipta raha ye aaina koi bhi khwahish na puri ho saki raste mein lut gaya ye qafila wo parinda hun jise hote hi sham bhul jae apne ghar ka rasta ham-safar sab ajnabi hote gae jaise jaise rasta katta gaya hum kinare aa lage thak kar 'nawed' aur dariya umr bhar chalta raha