mujhe yaad hain wo din jo teri bazm mein guzare wo jhuki jhuki nigahen wo dabe dabe ishaare ye tera sukut-e-rangin ye ada-e-be-niyazi kahin bujh ke rah na jaen meri ruh ke sharare kabhi shauq-e-zindagi tha kabhi lutf-e-sarkhushi tha magar ab to ji raha hun teri yaad ke sahaare ye chaman chaman bahaaren ye rawan-dawan hawaen inhen kya samajh sakenge gham-e-zindagi ke mare mujhe kya sukun milta mere ashk kaise thamte ki machal rahe hain dil mein tere gham ke tez dhaare kahin hai wajud-e-sahil mujhe kaise bawar aae meri kashti-e-tamanna na lagi kabhi kinare shab-e-intizar guzri meri zindagi na badli wahi 'hosh' mere aansu wahi dubte sitare