makan se hoga kabhi la-makan se hoga mera ye marka donon jahan se hoga tu chhu sakega bulandi ki kin manazil ko ye faisla teri pahli udan se hoga uthe hain us ki taraf kis liye ye hath mere koi to rabt mera aasman se hoga ye jang jit hai kis ki ye haar kis ki hai ye faisla meri tuti kaman se hoga bina padegi judai ki jis ko kahne se ada wo lafz bhi meri zaban se hoga