main ne bithla ke jo pas us ko khilaya bida qatl par mere raqibon ne uthaya bida mushtail ta-ba-falak aatish-e-pur-dud hui mal ke jis waqt misi tum ne chabaya bida surkh-ru ho ke ye kis munh se tu ab bole hai main ne kis roz tere hath se paya bida meri aur aap ki majlis mein bigad jaegi tum ne dene ko kisi ke jo banaya bida sabz-bakhti kahun kya apni ki wo jaan gaya padh ke afsun mein khilane ko jo laya bida lal kar dunga abhi bazm mein munh kitnon ke hath se tu ne kisi ko jo khilaya bida ai 'nasir' us ke gale ka hun na main kyunkar haar aaj gul-ru ne mujhe dekh chabaya bida