ye mat puchho ki kaisa aadmi hun karoge yaad, aisa aadmi hun mera nam-o-nasab kya puchhte ho! zalil-o-khwar-o-ruswa aadmi hun taaruf aur kya is ke siwa ho ki main bhi aap jaisa aadmi hun zamane ke jhamelon se mujhe kya meri jaan! main tumhaara aadmi hun chale aaya karo meri taraf bhi! mohabbat karne wala aadmi hun tawajjoh mein kami beshi na jaano azizo! main akela aadmi hun guzarun ek jaisa waqt kab tak koi patthar hun main ya aadmi hun 'shuur' aa jao mere sath, lekin! main ek bhatka hua sa aadmi hun