saje-sajae hue sabz manzaron se na jaen khuda kare ki ye dariya kabhi gharon se na jaen ba-nam-e-ishq-o-hawas kuchh na kuchh rahe raushan kuchh aisa ho ki ye saude kabhi saron se na jaen faza-e-dasht-e-tarab-nak ko dawam mile gulab khushbu se aur titliyan paron se na jaen zaruraton ko ziyaada na kar khuda-e-karim nikal ke panw bahut dur chadaron se na jaen huruf-o-nutq ki har anjuman mein raunaq ho khayal ruth ke hargiz sukhan-waron se na jaen isi tarah saf-e-sayyargan rahe qaem nujum-o-mah alag apne mahwaron se na jaen amir-e-asr se fariyaad karna chahte hain saron ko phodne ye log pattharon se na jaen