na pesh-e-zulm kisi taur KHam kiya jae

na pesh-e-zulm kisi taur kham kiya jae
hazar bar bhi gar sar qalam kiya jae

bahut se log to har waqt is firaq mein hain
kisi tarah meri himmat ko kam kiya jae

wo sochta hai faqat main hi main rahun har-su
main chahta hun ki is main ko hum kiya jae

wo jin ki koi fazilat kahin nahin milti
wo kah rahe hain hamein mohtaram kiya jae

sukun-e-qalb inhin khwahishon ne chhina hai
ab in se kah do ki mujh par karam kiya jae

main zakhm kha ke musalsal isi talash mein hun
kisi bahane ab aankhon ko nam kiya jae

jo ho na pae wazifa bhi kargar koi
to khud pe 'mir' ke sheron ko dam kiya jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close