main ne jo be-kasana majlis mein jaan khoi sar par mere khadi ho shab shama zor rawi aati hai shama shab ko aage tere ye kah kar munh ki gai jo loi to kya karega koi be-taqati se aage kuchh puchhta bhi tha so rone ne har ghadi ke wo baat hi duboi bulbul ki bekali ne shab be-dimagh rakha sone diya na hum ko zalim na aap soi us zulm pesha ki ye rasm-e-qadim hai gi ghairon pe mehrbani yaron se kina-jui naubat jo hum se gahe aati hai guftugu ki munh mein zaban nahin hai is bad-zaban ke goi us mah ke jalwe se kuchh ta 'mir' yaad dewe ab ke gharon mein hum ne sab chandni hai boi