taKHta-e-ab-e-chaman kyun na nazar aawe sapaT

takhta-e-ab-e-chaman kyun na nazar aawe sapat
yaad aawe mujhe jis dam wo nigammud ka ghat

zindagani ka maza zer-e-falak ab na raha
ya-rab aisa ho ki mil jae kahin pat se pat

fann-e-kashti mein qayamat hai wo but gazir ka
dhum deta hai macha aawe hai jab dhobi pat

jate hi wadi-e-wahshat mein qadam mara main
chaman-e-dahr se dil apna hua jab ki uchat

khak-e-dehli mein kya jab se nasara ne amal
shor-e-gujar hi raha aur na hangama-e-jat

tark ghamze ka magar bar-sare-e-saffaki hai
us ke kuche se chali aati hai jab khat pe khat

qatl-e-ashiq ka jo hota hai irada us ko
pahle dekhe hai khar o gaw pe talwar ka kat

koi sikhe bhi qanaat ko to sag se sikhe
pad rahe hai wo ba-yak gosha diya raat ko chat

roz hangama hai is gumbad-e-nili ke tain
'mushafi' shak nahin bigda hai magar nil ka mat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close