mere alfaz ko guftar ko kha jaegi meri wahshat mere afkar ko kha jaegi ashk roko nahi bah jaane do warna ek din ye nami jism ki diwar ko kha jaegi baat sun yar mere dasht hi behtar hai tujhe teri virani to bazar ko kha jaegi jaanta tha mere kirdar ke khaliq ki nazar bich afsane mein kirdar ko kha jaegi waqt hai ab bhi khuda aa ke bacha le is ko ye udasi tere shahkar ko kha jaegi zindagi pir se hafte ko agar khinch bhi gai maut aaram se itwar ko kha jaegi aah 'ahmad' ye teri ishq mein pane ki hawas ye tere ishq ke mear ko kha jaegi