mausam bhi yaad-e-yar mein dil-gir ho gaya tanhaiyon se meri baghal-gir ho gaya daman pe mere dagh lagane ki zid mein wo kirdar ki wo apne hi tashhir ho gaya bachchon ne mujh ko ghar se nikalne nahin diya rishta ye mere panw ki zanjir ho gaya marne se us ko apne kabhi dar nahin laga jina jab us ke waste tazir ho gaya allah ne rat-jagon ki duaen qubul ki wo khwab mere khwab ki tabir ho gaya aansu mein dhal ke zer-e-lahad kho gaya kahin ya dard ban ke dil se baghal-gir ho gaya 'sima' ulajh gai hai siyasat ke jal mein dil ka moamla tha jo gambhir ho gaya