main ne roka bahut par gae sab ke sab jaane phir kya hua dar gae sab ke sab dost kya ab to dushman bhi mafqud hain baat kya hai kahan mar gae sab ke sab har-qadam par zamana mukhalif raha kaam apna magar kar gae sab ke sab din mein suraj ke the ham-safar din dhale le ke mayusiyan ghar gae sab ke sab ped sukhe the qudrat bhi thi mehrban aaj phal-phul se bhar gae sab ke sab kya khata thi kisi ne bataya nahin mujh pe ilzam kyun dhar gae sab ke sab aap tanha bache hain meri bazm mein warna 'jawed'-akhtar gae sab ke sab