pari ke aane ke imkan bante jate hain

pari ke aane ke imkan bante jate hain
ye dasht sare gulistan bante jate hain

ajab hawas hai mohalle mein takht jitne ki
ye log hain ki sulaiman bante jate hain

main in ko dekh ke chahun ke wo gale lag jaen
wo mujh ko dekh ke anjaan bante jate hain

wo jitne soch ke mushkil sawal karta hai
jawab utne hi aasan bante jate hain

unhen main sher ki surat kabhi ugal dunga
jo dil mein dard ke tufan bante jate hain

ajib kuza-gari se dimagh jud gaya hai
gulab soch lun gul-dan bante jate hain

kisi faqir ke hujre mein baithne ke baad
jo aadmi hain wo insan bante jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close