manzar-e-sham-e-alam bhi nahin dekhe jate

manzar-e-sham-e-alam bhi nahin dekhe jate
kya sitam hai ki sitam bhi nahin dekhe jate

ahl-e-gham apni tabiat se hain majbur bahut
tere andaz-e-karam bhi nahin dekhe jate

itni ujlat se jabin jhukti hai sajde ke liye
aankh se naqsh-e-qadam bhi nahin dekhe jate

kam-nigahi bhi musibat hai sharifon ke liye
band mutthi ke bharam bhi nahin dekhe jate

tabsira karte hain kyon log meri haalat par
jaane kyon un ke karam bhi nahin dekhe jate

un ki manzil ki taraf badhte hain jis dam 'akhtar'
rah mein dair-o-haram bhi nahin dekhe jate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close