us par bhi dushmanon ka kahin saya pad gaya gham sa purana dost bhi aakhir bichhad gaya ji chahta to baithte yaadon ki chhanw mein aisa ghana darakht bhi jad se ukhad gaya ghairon ne mujh ko dafn kiya shah-rah par main kyun na apni khak mein ghairat se gad gaya khalwat mein jis ki narm-mizaji thi be-misal mahfil mein be-sabab wahi mujh se akad gaya bas itni baat thi ki ayaadat ko aae log dil ke har ek zakhm ka tanka udhad gaya kis kis ko apne khun-e-jigar ka hisab dun ek qatra bach raha hai so wo bhi nibad gaya yaron ne khub ja ke zamane se sulh ki main aisa bad-dimagh yahan bhi bichhad gaya kotahiyon ki apni main tawil kya karun mera har ek khel mujhi se bigad gaya ab kya bataen kya tha khayalon ke shahr mein basne se pahle waqt ke hathon ujad gaya