majlis-e-gham, na koi bazm-e-tarab, kya karte ghar hi ja sakte the aawara-e-shab, kya karte ye to achchha kiya tanhai ki aadat rakkhi tab use chhod diya hota to ab kya karte raushni, rang, mahak, tair-e-khush-lahn, saba tu na aata jo chaman mein to ye sab kya karte dil ka gham dil mein liye laut gae hum chup-chap koi sunta hi na tha shor-o-shaghab kya karte baat karne mein hamein kaun si dushwari thi us ki aankhon se takhatub tha so lab kya karte kuchh kiya hota to phir zoam bhi achchha lagta hum ziyan-kar the, elan-e-nasab kya karte dekh kar tujh ko sirhane tere bimar-e-junun jaan-ba-lab the, so hue aah-ba-lab, kya karte tu ne diwanon se munh mod liya, thik kiya in ka kuchh thik nahin tha ki ye kab kya karte jo sukhan-saz churaate hain mera tarz-e-sukhan un ka apna na koi taur, na dhab, kya karte yahi hona tha jo 'irfan' tere sath hua munkir-e-'mir' bhala tera adab kiya karte