ye kaisa rabt hua dil ko teri zat ke sath tera khayal ab aata hai baat baat ke sath kathin tha marhala-e-intizar-e-subh bahut basar hua hun main khud bhi guzarti raat ke sath padin thin pa-e-nazar mein hazar zanjiren bandha hua tha main apne tawahhumat ke sath jalus-e-waqt ke pichhe rawan main ek lamha ki jaise koi janaza kisi baraat ke sath kabhi kabhi to ye lagta hai jaise ye duniya badal rahi ho mere dil ki wardat ke sath jo dur se bhi kisi gham ka samna ho jae pukarta hai mujhe kitne iltifat ke sath tadakh ke tut gaya dil ka aaina 'makhmur' pada jo aks-e-fana partaw-e-hayat ke sath