na hum kisi ke liye hain na tum kisi ke liye bane hain donon mohabbat ki zindagi ke liye khuda-e-ishq karam ho ki dam nikalta hai butan-e-dida-o-dil kuchh to aazari ke liye sahar se sham talak aql ke dhundalke mein bhatakte phirte hain hum dil ki raushni ke liye wufur-e-shauq-e-takallum se chup hue the kabhi taras rahe hain usi din se khamushi ke liye mere sawal-e-tamanna pe hans ke chup rahna ye dil lagi ke liye tha ki dil-lagi ke liye hamare jazb-e-nazar ki karahaten dekhen yahan tum aae the bas ek do ghadi ke liye ye dard-e-dil to bade kaam ki hai chiz ai dost magar hai shart ki kaam aae aadmi ke liye na tha ye ilm ki hansne mein jaan jati hai kali shagufta hui thi us aagahi ke liye mere sarishk-e-tabassum ka raaz kya samjho ye dil-lagi ke liye hai na be-dili ke liye na dekho tur ki jaanib hazar karo 'naqwi' maal-e-jurat-e-musa hai raushni ke liye