mera baatin mujhe har pal nai duniya dikhata hai kisi nadida manzil ka koi rasta dikhata hai khuda bhi zindagi deta hai bas ek raat ki hum ko isi ek raat mein lekin khuda kya kya dikhata hai zara tum des ke is rahnuma ke kaam to dekho shajar ko katta hai khwab sae ka dikhata hai bahut si khubiyan hain aaine mein manta hun main magar ek aib hai kam-bakht mein chehra dikhata hai is aashob-e-zamana ke liye main kya kahun 'taimur' ki har bikhra hua khud ko yahan simta dikhata hai