phir is taraf wo pari-ru jhamakta aata hai ba-rang-mehr ajab kuchh chamakta aata hai idhar udhar jo nazar hai to is liye yaro jo dhab se takte hain un ko takta aata hai koi jo rah mein kahta hai dil ki be-tabi to us se kahta hai kya tu ye bakta aata hai milap karna hai jis se to us ki jaanib wah qadam uthata hai jald aur humakta aata hai hamare dil ki jo aatish hai deni phir bhadka jabhi 'nazir' wo palken jhapakta aata hai