soch mein tere suna raat jo khatka-patka sar ko takiye se utha patti pe de de patka tu ne gar kanghi jo kakul ko pakad kar jhatka dil pada phirta hai sar marta bhula-bhatka lakht-e-dil aa sar-e-mizhgan pe latakte hain pade teri ulfat ne bhala sang dikhaya nat ka jab na tab bose pe hatte ho ki dunga na kabhi man kar ye na meri jaan phir aisi hat ka kyun teri chaal latak dekh ke dil latke hain kuchh to hum ko bhi bata kis se ye sikha latka nat-khati dekh teri main to achambhe mein raha dil jhapat hath se jhat rag sunaya khatka ghar base bol bhi kuchh kya hai kharabi thani kab talak hum se phirega yunhi phatka phatka dil-e-gum-gashta ki har ek se main karta hun talash chor jo tha wahi aankhon ko chura kar satka