sar jhuka leta tha pahle jis ko akasr dekh kar aaj pagal ho gaya us ko barabar dekh kar khwahishon mein bah gaya kamzor mitti ka hisar jism qatre mein simat aaya samundar dekh kar sochta hun raat ke andhe safar ke mod par chand ghabraya to hoga khali bistar dekh kar aankh khulte hi har ek lamhe mein mera aks tha main bikhar jata hun is khidki ke bahar dekh kar tu hi utrega kharabon mein faraaz-e-arsh se hum to behis ho chuke hain ab ye manzar dekh kar chand takne ki tamanna le ke wapas aa gaya dusron ke ghar ko apni chhat se upar dekh kar ab to mud kar bhi kisi aawaz ko sunta nahin ja-ba-ja bikhre hue sadkon pe patthar dekh kar mujh ko 'sarmad' apni bhi pahchan tak baqi nahin shakhs ek apne hi jaisa apne andar dekh kar