na aarzuon ka chand chamka na qurbaton ke gulab mahke

na aarzuon ka chand chamka na qurbaton ke gulab mahke
na hijraton ka azab sahte hue musafir gharon ko laute

na aanganon mein darakht-e-jaan par visal-mausam ka bor jaga
na dali dali kisi parinde ne khushbuon ke tarane chhede

waraq waraq zaichon mein tahrir ek se the jawab lekin
sawal chakhne ki kham khwahish mein hum ne kya kya azab chakkhe

bas ek dhalwan darmiyan hai aur us se aage khula jahannam
na jaane kis pal ki ek laghzish azab sadiyan samet lae

hamein khabar hai ki apne ghar ke charagh koi ghadi hain lekin
hamein yaqin hai ki raushni ki nawed sunne talak jalenge

qabile walo utho! aur apna bachaw kar lo, ki main ne kal shab
fasil-e-shahr-e-aman ke bahar naqab-zanon ke giroh dekhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close