malal-e-ghuncha-e-tar jaega kabhi na kabhi wo khak uda ke guzar jaega kabhi na kabhi main lala-e-sar-e-sahra makan nahin rakhta ki dasht hai mere ghar jaega kabhi na kabhi barahna shakh hawa zard be-zamin shajar parinda su-e-safar jaega kabhi na kabhi kahin bhi tair-e-awara ho magar tai hai jidhar kaman hai udhar jaega kabhi na kabhi kisi ke hath se tute na shisha-e-sad-rang ye reza reza bikhar jaega kabhi na kabhi guzishtani hai ye sab kuchh jo hone wala hai wo hadsa bhi guzar jaega kabhi na kabhi wo nau-bahaar bhi aafat hai dasta-e-sumbul za-farq ta-ba-kamar jaega kabhi na kabhi ye ishq hai ki khumar-e-talab hai kya malum khumar hai to utar jaega kabhi na kabhi