malal hai meri fikron ke aas-pas abhi udas rahne de ai dil mujhe udas abhi mujhe to sare zamane ki fikr karni hai tumhin to ho mera aaina-e-qayas abhi wo kaise koi shikayat zaban par laen jinhon ne dekh liya hai tumhein udas abhi hamare baad kahan aasra mila us ko tadap rahi hai gham-o-dard ki asas abhi chipak gaya tha achanak labon se aa ke mere sharab jaisa mahakta hua gilas abhi dilon ke fasle kahte hain main kahun na kahun koi bhi shakhs nahin hai kisi ke pas abhi mere aziz na roen abhi sar-e-baalin ki hai mujhi ko meri zindagi ki aas abhi bandhane aai thi shayad hazar ummiden tumhaari yaad jo aai thi mere pas abhi abhi kahan sitam-o-jaur mein kami 'manzil' kahan hua hai nae daur ka wikas abhi