marte nahin ab ishq mein yun to aatish-e-furqat ab bhi wahi hai taur junun ke badle lekin soz-e-mohabbat ab bhi wahi hai umr ki is manzil par bhi hum tujh par jaan nichhawar kar den go wo garmi khun mein nahin hai dil mein qayamat ab bhi wahi hai tum kya jaano jina marna hum ne kin sharton par sikha aaj bhi aise log hain jin mein shauq-e-shahadat ab bhi wahi hai kaise kaise marhale guzre jin mein us ne sath diya tha bhul gae hum lekin us ki hum pe inayat ab bhi wahi hai kitne koh-e-giran kate hain kitne sanam tarashe 'azar' shauq-e-zuhur ki har patthar mein raqsan wahshat ab bhi wahi hai