man mein jot jagane wale tyag gae ye dera jogi uttar dakhkhin purab pachchhim chaaron or andhera jogi dware dware alakh jagane ko to sari 'umr padi hai sej saji do chaar ghadi ko kar le rain basera jogi is ghar mein ek kora aanchal rote rote bhig chala hai bhule hi se sahi kabhi to mar idhar bhi phera jogi apne man mein chor chhupa ho to phir dosh kisi ka kya hai wo hi rah-rau wo hi rahzan apna aap lutera jogi pal-do-pal ruk pahan gerue kapde hum bhi sath chalenge mar chali ras-bhari jawani jogi wala phera jogi panw panw mudti pagdandi aankh jhapakte das leti hai jiwan ki nagin kis ke bas is ka kaun sapera jogi tu jo kahe to un zulfon ki narm chhaon hamrah le chalen jangal mein kale baadal ka saya bahut ghanera jogi ye bhabhut kis ki palkon kis ke baalon ki parchhain hai tere saf saped jism par kis ne rang bikhera jogi kan mein kundal kada hath mein lambe baal ghunghrun wale tere tan ke chaar chaphere kis jogan ka ghera jogi jis ne mujh ko ghar bakhsha hai aur aawara-gardi tujh ko us ki rahguzar kis ghar se kis raste par dera jogi har rukh par parchhain kisi ki har chehre par 'aks kisi ka chalte phirte bazaron mein kya tera kya mera jogi is basti mein 'ashk' kisi ek ladke ko kundal pahna kar ek ladki ne ye kah kar barbaad kiya tu mera jogi