qadam qadam pe gire utthe bar bar chale tamam umr isi taur hum guzar chale zamana guzra ki dil nazr-e-hadsat hua ab ek jaan thi use zindagi pe war chale fuzun kuchh aur hua bandishon se josh-e-junun riha hue jo qafas se to su-e-dar chale ada-e-laghzish-e-rindan-e-baada-mast kahan machal machal ke nasim-e-chaman hazar chale rukun to gardish-e-sham-o-sahar thahar jae chalun to sath har ek naqsh-e-rahguzar chale jale charagh khile gul ubal pade naghme jahan jahan tere dhoke mein hum pukar chale hua to khun-e-dil-o-jaan-o-arzu 'athar' mazaq-e-ahl-e-mohabbat magar sanwar chale