ranj mein bhi shad rahna chahiye ye maqula yaad rahna chahiye hijr mein nashad rahna chahiye khasta-o-barbaad rahna chahiye sun hi lenge wo kabhi fariyaad-e-gham barsar-e-fariyaad rahna chahiye khud-bakhud ho jaenge wo mehrban talib-e-bedad rahna chahiye kis liye phansta hai ai dil zulf mein qaid se aazad rahna chahiye khwah sar par aasman bhi aa pade aadmi ko shad rahna chahiye chhut kar hum ne qafas se ye kaha kuchh sitam sayyaad rahna chahiye chhod kar dil aap jate hain kahan ye makan aabaad rahna chahiye wa'da to hum se kiye jate ho tum shart ye hai yaad rahna chahiye rahm aa hi jaega 'hajir' unhen ishq mein barbaad rahna chahiye