manus ho gae hain sitam peshgi se hum ab kya karen karam ka taqaza kisi se hum is se to apne haq mein andhera hi khub tha be-nur ho gae hain nai raushni se hum aakhir sar-e-niyaz jhukaen to kis tarah na-ashna hain rasm-o-rah-e-bandagi se hum taskin-e-zauq ke liye maghz-e-sukhan hai shart aasuda-e-ghazal na hue naghmagi se hum hadd-e-adab mein rah ke 'munawar' ho guftugu momin ke munh na aaen sukhan-gustari se hum