zaban ka zawiya lafzon ki khu samajhta hai main us ko aap pukarun wo tu samajhta hai main us ki bazm mein bhi sarfaraaz rahta hun mera nasab meri azmat adu samajhta hai munafiqat se azizon ko zer karta hai aur us mein apni badi aabru samajhta hai sukhan ke harf pe rakhta hai harf-e-jaan ka madar haya ko aankh ki durd-e-subu samajhta hai rafugaran mere zakhm-e-ana se aajiz hain ki mere khun ki tezi rafu samajhta hai