mizaj-e-dahr mein un ka ishaara pae ja jo ho sake to bahar-haal muskurae ja bahaar-e-sad-chamanistan-e-arzu ban kar mere khayal ki ranginiyon mein aae ja khirad-nawaz nigahon ki aad mein rah kar faza-e-alam-e-diwangi pe chhae ja pilae ja ki abhi hosh-e-be-khudi hai mujhe pilae ja mujhe saqi abhi pilae ja dil o jigar pe guzar jaegi jo guzregi teri nazar se jo fitne uthen uthae ja zara thahr ki ab anjam-e-soz-e-gham hai qarib charagh-e-zist bhadakne ko hai bujhae ja sukut-e-mayyat-e-'fani' hai ek fasana-e-shauq lab-e-khamosh se har muddaa ko pae ja